Wednesday, January 31, 2007

kashmirpoems

kashmirpoems nai gazal
bikshu se khwahishat ka ban mangti rahi
kashkole tan main umr tapan mangti rahi
sargoshian suni thi darobam ne yahan
khali thi charpai badan mangti rahi
le ker chirag raat ko phirti thi khamshi
ganjinaai haroof sukhan mangti rahi
kis ka na jane lams samaya lihaf main
reh reh ke raat muj se badan mangti rahi
khud tiragi se sehmi hui shab tamam shab
daste dua uthaye kiran mangti rahi
parasmani thi nag ke muhn main chupi hui
nagin lipat lipat ke wo phan mangti rahi

Tuesday, January 30, 2007

kashmirpoems

kashmirpoemsmunjamid raaste gubar kahan/daastanon ke wo sawar kahan.mere dar per nishan nahin lekin/apni qismat pe aitibar kahan.dhoop se pehle aandhian guzrin/ped koi hai sayadar kahan.wo matanat kahan wiqar kahan/shehr main ab rahe chinar kahan.husn ki ab wo dilbri kaisi/ishq ka ab wo karobar kahan.ek ik karke sab bichadte hain/hum kahan per hain aur yaar kahan.wo bi karte nahi hain wade ab/hum se hota hai intizar kahan.us ki baten suno jo pehron bi/raaz hote hain aashkar kahan.gul khile hain hawa bi badli hai/phir bi gulshan main hai bahar kahan.ek lamhe main kar guzarjana/khud pe rehta hai ikhtiar kahan.(ayaz rasool)