

kashmirpoems arz kia hai aas main kate bees baras aur yaas main kate bees baras kuchh na poochho hum ne kaise kate hain chalees baras jis ne hum ko ishq sikhaya jis se samjhe saare gur us ki umr thi sola satra apni thi ikees baras aate jate her mosam main us ka jadoo qaim hai bees baras se dekh raha hoon lagti hai unnees baras
bikshu se khwahishat ka ban mangti rahi kashkole tan main umr tapan mangti rahi sargoshian suni thi darobam ne yahan khali thi charpai badan mangti rahi le ker chirag raat ko phirti thi khamshi ganjinaai haroof sukhan mangti rahi kis ka na jane lams samaya lihaf main reh reh ke raat muj se badan mangti rahi khud tiragi se sehmi hui shab tamam shab daste dua uthaye kiran mangti rahi parasmani thi nag ke muhn main chupi hui nagin lipat lipat ke wo phan mangti rahi