libas us ka jo dhani ho gaya hai 
dupatta aasmani ho gaya hai 
ragon main dodta to surkh hota 
lahoo aankhon main paani ho gaya hai 
fana hote hue socha jise main 
wahi to javidani ho gaya hai 
shabab us ka jo qasre javidan tha 
wahi ab dare fani ho gaya hai 
mana lao ayaz us sheeshagar ko 
khafa phir yarejani ho gaya hai
 
No comments:
Post a Comment