aap ke dar per nahin aayen to jayenge kahan
ya Muhammad aap jaisa koi payenge kahan
zulm ki aandhi chali hai char janib se hazoor
yeh guzarti hai jo hum pe woh sunayenge kahan
ashk aankhon main ubalte jarahe hain raat din
aap ke dar per na pohnche hum bahayenge kahan
zakhm kitne jane seene main lage hain ya nabi
aap dekhenge nahi to hum dikhayenge kahan
aap ke han aayen kaise sharm aati hai hamen
aib itne hain jo hum main woh chhupayenge kahan
No comments:
Post a Comment